Khamosh Jazbey
Specially dedicated to someone special
Banam-e-muhabbat Neelam ho chaley hain
Kabhi Khas they jo woh Aam ho chaley hain
Jo "HAWWA ki beti" rahi na kaheen bhi
To "Hawas ke pujari" bhi aam ho chaley hain
Muhabbaton mein kaisi hai yeh bad-hawasi
Hawas ke hi rishtay Tamam ho chaley hain
Tujeh subah ka ujala, ya koi shaam likhon
Aey paikar-e-Muhabbat tuje kiya payam likhon
mein jub bhi sochata hoon umwan zindgi ka
Mera dil yeh chahta hai mein tera naam likhon
Jurm teri muhabbat ka jo sir laitey
Hum bhi teri gali mein ghar laitey
Hawaon ke bharosey pe jalaya tha chiragh
Hawain na bujhateen to khabar Laitey
Mana ke Hum se Aaj kal tu door door hai
Lekin Teri Nigah Mein kuch to Zaroor hai
Bichad ke tujh se jo saal guzra hai
Ghamon se ker ke nidhal guzra hai
Muhabbat tumhi they tum hi to wafa the
Magar phir na janey kahan kho gay tum
Hue door yun ke nishan bhi na choday
Haqeeqat rahe per hawa ho gaye tum
Qaza ho gay hum qaza kertey kertey
Kisi aur ke dilruba ho gay tum
Kahani hamari badi mukhtasir thi
Fana ho gaya mein fida ho gaye tum
Maseeha Kaha tha , fakat tum ko mein ne
Magar tum yeh samjhay Khuda ho gay tum
Sadaqat ke pekar mujasma-e-haya they
Mehaz ab freebi ada ho gay tum
Galat Fehmi
Jo tu ne kaha tha , Jo mein ne suna tha
Usi kehney sun'ney pe ta'na buna tha
Tha inkar tujh ko, hai iqrar mujh ko
Magar phir bhi us mein maza do guna tha
Mujeh kiya khabar thi, keh jhoota hai tu bhi
Gila bhi nahi hai , tujeh khud chunna tha
Yahan dil ki duniya basay na koi
Keh bhoolay se bhi dil lagay na koi
Wafaon ki bateen kare na koi bhi
Muhabbat ki qissey sunaye na koi
Karey na bharosa hawaon ka koi
chiragh-e-muhabbat jalay na koi
Mujeh dard sehney ke aadat hai tab se
Mujeh dard sehney ki aadat hai tab se
Keh jab se gay ho mujeh chod ker tum
Keh jab se muqadar ne ki bewafai
Keh jab se drakhton se pattey gay hain
Keh jab se yeh hum tum juda ho gay hain
Keh jab se baharon mein rang-e-khizan hai
Mujeh dard sehney ki aadat hai tab se
Mujeh dard sehney ki aadat hai tab se
You are visitor No 


of Khamosh Muhabbat 3 Since October 2005