Nazmein
Mein ek shayer Banjara hoon
Mein nagri nagri ghoom chuka
Sehra ka daman choom chuka
Koi na mila hum dum mujh ko
Mein aisa Pyar ka Mara hoon
Mein ek shayer banjara hoon
Dar dar ki thoker khata hoon
Per chain kaheen na Pata hoon
Mehfil mehfil ruswa hoon
Aur tanhai ka mara hoon
Mein ek shayer banjara hoon
Tera charcha chandani raton mein
Mujeh bhool gaye sab baton mein
jo khud hi jal ke rakh huwa
Mein woh toota huwa tara hoon
Mein ek shayer banjara hoon
yun to hum hain Khafa khafa
Per reh nahi saktey Juda juda
Tum palkeen ho mein ansu hoon
Tum nadiya ho mein dhara hoon
Mein ek shayer banjara hoon
Mein shayer hoon mein shair kahoon
Aur tum pe Ghazlein dhair kahoon
Tum dil na do per daad to do
Ke tum jeetey Mein hara hoon
Mein ek shayer banjara hoon
Valentine's Day
Muhabbat ka din aik hota nahi hai
Zara jo mein bhoola use phool dena
khafa ho ke mujh se woh kehney lagi yeh
Muhabbat tumhein woh nahi ab hai mujh se
jo heran ho ker mukhatib huwa mein
to poocha ke jana huwa kiya bata do
Khata ger hui hai mujeh tum saza do
Magar yun na rootho ke yun na khafa ho
zara door ja ke woh gussey se boli
Kaho aaj kiya din hai Tareekh kiya hai?
Yeh kehna tha us ka mujeh yad aya
Tha din ferwari ka jo mein ne bhulaya
Zara sharam se mein ne sir ko jhukaya
Dopatey ka palu chaba ker woh boli
jo bhooley ho yeh din mujeh na bhulana
Use jaan kehtey hue mein pukara
Baddey pyar se phir use yeh bataya
Muqarar nahi koi din ya Mahina
Muhabbat nahi hai to mushkil hai jeena
Muhabbat nahi hai to kuch bhi nahi hai
Muhabbat
Kisi se jo poocha muhabbat ke barey
Kaha us en mujh se suno merey hamdam
Chalo aaj tum ko mein raaz ek bataon
Haqeeqat muhabbat ki tum ko bataon
Muhabbat hai woh aik phoolon ka poda
Kaheen pe jo johad kinare ugga hai
jaddeen jiss ki sari hain mutti mein dhansi
Jo phoolon ki nisbat bada khoob-ru hai
Magar yeh to mutti mein parwan chadha hai
jissey seenchata hai yeh johad ka pani
Yeh phoolon ka poda hai misl-e-muhabbat
Keh do jism jab bhi muhabbat hai kertey
Woh auron ki ankhon mein hain rang bhartey
Hain duniya ki aankhon pe pardey lagatey
Haqeeqat se khud bhi woh hain munh chuppatey
Hain tasveer ke aik rukh ko dikhatey
Magar doosrey ko hain sab se chuppatey
Hain ulfat ko phoolon ka poda jatatey
Magar gandi jad ko hain sab se chuppatey
Haseen hain yeh phoolon se sarey nazarey
Magar gandi jad bhi haqeeqat hai pyare
Ager na jadeen hon to poda kahan ho
Nai nas'l ka phir na nam-o-nishan ho
keh jud se juda na koi phool hai
Ager tu yeh samjhey teri bhool hai
Yehi hai haqeeqat muhabbat ki pyare
Milan hai yeh jismon ka dil ke saharey
Ager pyar mein jism miltey nahi hain
Nay phool shakhon pe khiltey nahi hain