Rose
KOUN HOON MAIN?
jise bahaar na pehchane
main woh phool hoon
jise qadam hai anjane
woh dhool hoon main
jo aksar toot ta aya hai
woh dil hoon main
jise koi raah na milti ho
woh manzil hoon main
lehroun keliye tadapta hua
be bas sahil hoon main
jo kabhi hal na ho sake
woh mushkil hoon main
viriksh se hataya hua
woh anchal hoon main
piyaas ke liye khud hi
piyasa jal hoon main
dard se rishta ho jiska
woh pal hoon main
gardishoun main ghira hua
woh komal dil hoon main
Rehta hai woh mujh se khafa buhat
Us se mera yeh bhi hai rishta buhat
Chahtey hain log sab doosron ko
Magar khud ko hum ne chaha hai buhat
Sookh janey pe wohi kata gaya
Jiss shajar ne diya tha saya buhat
Pyar muhabbat ka rishta hai bada dilfareeb
Magar es rah mein hai dhoka buhat
chilchilati dhoop mein zindgi ki
Aap ki zulfon ka hai Saya buhat
Mud ke dekha to nahi aey zindgi tu ne
Hum ne peecha to kiya tera buhat
Tamanna hai aaj bhi dekhaney ki use
kaisey keh doon use hai dekha buhat
Dosti mein bhi woh hum sekertey hain dushmani
Ajeeb apna hai yeh dil ka rishta buhat
Apney dil ke warqey pe sehar ne
Aap ka naam likha hai buhat
Sehar na janey kon sa muqam tha woh zindgi ka
Hum ne paya hai kam khoya buhat
Dr-Fatima Afroz Sehar
.