Latest
NEW
New Poem
Dil ke Zakhmon ke Sada Bahar Gulab
__________________________________
Meri sanson se zindgi pa ker
shab-o-roz yeh jawan hue
Jo rag-e-jaan mein tha sar-gardaN
Nazran-e-mehr-o-wafa tehra
Waqt ki badhti shakhon per
Pyar tehra keh khar thera
Kis ne geeton ki tamanna ki thi?
Kaun gum naam sada thera ?
Mein zindgi ki rahon mein
Kiya tha magar, Kiya thera
Magar abhi bhi
Aey Hum nafas
Dil mein zakhmon ke sada bahar gulab
sukhay hain na sukhain gay kabhi
yeh Hayyat-e-javidan le ker
Dil-o-jaan mein bus agy jub se
Sozash-e-dard se HUm nihaal hue
Chand sikon mein bik gaya wo ba zameer shaks
Jiss ko kabhi khaloos se kharida na ja saka
Banam-e-muhabbat Neelam ho chaley hain
Kabhi Khas they jo woh Aam ho chaley hain
Jo "HAWWA ki beti" rahi na kaheen bhi
To "Hawas ke pujari" bhi aam ho chaley hain
Muhabbaton mein kaisi hai yeh bad-hawasi
Hawas ke hi rishtay Tamam ho chaley hain
Tujeh subah ka ujala, ya koi shaam likhon
Aey paikar-e-Muhabbat tuje kiya payam likhon
mein jub bhi sochata hoon umwan zindgi ka
Mera dil yeh chahta hai mein tera naam likhon
Jurm teri muhabbat ka jo sir laitey
Hum bhi teri gali mein ghar laitey
Hawaon ke bharosey pe jalaya tha chiragh
Hawain na bujhateen to khabar Laitey
Mittay Nahi nishaN Dil-e-Daghdar ke
Padney lage Hain saye Gham-e-rozgar ke
Khudaya tu in dino ko kuch to taveel ker
keh phir na mil sakeen ge yeh din khumar ke
Mein jub bhi aaina dekhata hoon
Tou aaina bhi hans deta hai
Mein poochata hoon ke kiya dekha
Woh kehta hai bus rehney do
Kuch is tarah se aaj kal hum jiya kertey hain
Her aap pe hum apney lub siya kertey hain
Woh aur hon ge chalaktey hain sager jin ker
Hum to be bus hain tukron mein piya kertey hain
Yeh dastoor-e-muhabbat hai ya muqadar apna
Phool de ke bhi hum zakham liya kertey hain
PYAR MEIN HOTA HAI MAZA IQRAR SE PEHLAY
Pyar mein hota hai maza iqrar se pehlay
Pyar bhi hota hai saza iqrar se pehlay
Jaan bhi le leta hai halka sa tabassum
Her Mod pe hoti hai qaza iqrar se pehlay
Mamool ki bateen bhi mamooli nahi lagteen
Her baat mein hoti hai ada iqrar se pehlay
Be chaini si rehti hai deedar ki khatir
HOti hai shab-o-roz dua iqrar se pehlay
Kabhi jadoo kabhi tonna kabhi taweez wagera
kia kia nahi hota hai aey khuda iqrar se pehlay
Raton mein kabhi chain se sona nahi milta
Uth Uth ke bhi detey hain sada iqrar se pehlay
Qayamat se bhi pehlay qayamat hai guzarti
Mehbooba jo ho jay khafa iqrar se pehlay
Hai marz yeh aisa ke shifa bhi nahi milti
Kerti nahi asar dawa iqrar se pehlay
Duniya mein kabhi SAHIL dil koi na tootay
Dono ko samajh aye wafa iqrar se pehlay
Bhool Gay Ho
Hum ne kitna chaha tum ko
Bhool gay ho bhool gay ho
wo rateen sari
Woh bateen sari
woh sarey lamhe
yad hai mujh ko
Ab bhi woh sab
Jaisy kal ki baat ho yeh sab
Lekin tum to aisey bhooley
lagta hai sadiyan beet gai hain
Mouzoon sa zer-e-lub koi mozu nahi raha
Meri Zindgi mein jab se ek tu nahi raha
Bichad ke tujh se jo saal guzra hai
Ghamon se ker ke nidhal guzra hai
ES SHEHAR KE LOGON SE MUHABBAT NA KIYA KER
Es shehar ke logon se muhabbat na kiy ker
Es shehar ke logon mein kahan nam-e-wafa hai
Muskan kisi chehrey pe yeh rehne nahi dete
Es shehar ke logon ne fakat dukh hi diya hai
Dekha hai kai bar es shehar mein aa ke
Es shehar mein her shaks mujeh tanha mila hai
Takhiyul ki es duniya mein ujala kiya kare ga
Sahil jo khud aik bujhta sa diya hai